Ab aur bhi tarsaoge kya
Jab dhadkan ruk jaye, tab aaoge kya
jab bichade the, to socha na tha,
itne din ki judai hogi,
Har saans tumhe choo kar hi aayi hogi
Ankhon mein teri hi parchayi hogi
jab aankhen tham jaye,tab aaoge kya
Ab aur bhi tarsaoge kya
---------------------------------------
Aansoon peekar, kab tak jee paoongi mein,
Kab tak in panno mein, tera chehra banaongi mein,
Door se bahut ho gayi baatein,
Ab aur chitthi likhwaoge kya
---------------------------------------
Tasveero se baatein karne lagoon,
har ahaat mein tumhe dhoondha karoon,
Jidhar dekhoon, tumhe dekhoon,
Har junoon ki had par karvaoge kya
Ab aur bhi tarssaoge kya
------------------------------------
Ab neend se dar lagta hain
jab sapno mein tum aaoge,
pal bhar ki vo khushi dekar, subah ko vapas jaoge
Ab zindagi bhar jagaoge kya
Ab aur bhi tarsaoge kya
----------------------------------------
Nahi dekha tumhe barso se, par itna to kah sakti hoon
vahi pyaar, vahi tadap aaj bhi is dil mein rakhti hoon
Ab uska imtihaan dilwaoge kya
Ab aur bhi tarsaoge kya
--------------------------------------
Hathon mein hanth tha
tera hi sath tha
ye zindagi tere sath beetein aisaa har zazbaat tha
har vo lamha yaad dilaoge kya
Ab aur bhi tarsaoge kya
------------------------------------
Din beetein, raatein beetein mahino saal guzar gaye
raasta dekhti rahi tumhara
Umar beet jaaye , tab aaoge kya
Ab aur bhi tarsaoge kya
------------------------------------------

No comments:
Post a Comment