Kahti hoon maa jise, uski ye kahani hian
Aaj ki baat nahi dosto, baat ye purani hain
Nahi dekha jise maine , bhagwan jise mein kahti hoon
Maa ke roop mein is dharti par, uske sath hi rahti hoon
Chothe mere pairo ko, chalna jisne sikhaya tha
jisne pahli baar mujhe, har shabd ka matlab bataya tha
Lori gagake jisne, raaton ko sulaya tha
rone pe kabhi mere, jiska man bhar aaya tha
saadgi se rahti thi vo, mujhe accha pahanane ke liye
kabhi naraaz bhi hoti thi, to sahi raah dikahne ke liye
jiski akhon mein bas, ek hi sapna rahata tha
mein kuch accha kar jaoon, dil uska ye kahta tha
aaj yaha khadi hoon mein, us sapne ko saakar kiye
Meri har baaton mein, pyaari maa ka pyaar liye
Maa ab apne har sapne, meri aakhon se dekho tum
Apne har dukh ko ab, ab mera hisse kardo tum
Apni har chinta ko ab, maa tum mere naam karo
Ab tum budhi ho gayi ho, thodha to aaram karo
Bade ho gaye wo paudhe,
jo tumne aapne paseene se the seenche
Ab kuch din us swarg mein rahne do maa,
jo hain tere charon ke neeche
Ab har pal ye hi sapna hain
bahut kuch kar jana hain
maa meri pyaari maa
teri har khuawish ko apnana hain
Maa tere har sapne koi ab mein poora kar paaon
ye soch ke bhi darti hoon
Aisa karne se pahle na mar jaaon
Meri is kahani jaisi, aapki bhi ek kahanai hogi
Aap sabko apni maa, utni hi pyaari hogi
aap sabse itna kahna hain, dil bhoole se maa ka dukhana nahi
ye samajh lo sabhi, maa ne aah jo bhari
lok parlok kahin bhi thikana nahi.

No comments:
Post a Comment